Thursday, April 9, 2009

CFE Patel 2009 I

C-201

Kundan Kumar

Woh hai rangeela.. Chail chabeela..

Woh hai natkhat.. woh kgp-tat

Phere lagaye.. murli bajaye..

Gopiyon ke sang raas rachaaye..

Murli bajaiyaa raas rachaiyaa shyam salona hai..

Jo hai albela madnaino wala, jiski deewani kgp ki har bala..

Woh kisna hai

DoSNa ke naam se jana jane wala, DC nick Kisna rakhne wala, Wo Kundan hai.

Ab tak to pata chal hi gaya hoga, bahut famous banda hai. Apni muskaan aur baaton se, har gopi ka dil jeet leta hai. Halaanki Tempo da ki nazro me to Krishn Sudama ki platonic story me bhi twist hai. Par Kisna ka dil to Radha ke paas hi hai. Bahut cool banda hai, load me nahi aata hai. Mehnati hai, EC ka God hai, par Radha ke saath kaafi peace bhi maarta hai.. short me, bhaiya, stud hai.

(by Debu)

 

C-202

Shiv Prakash Upadhyay

Shiv Prakash who? Oh right.. chachaaa!! That’s how the mortal beings know this creature as. This creature lives on chaai (would go to Bhaaskies for chaai after lunch even when it’s 100 degrees outside and he has already had chaai twice since morning); is the favorite pass-time of his department-mates; is the most loved toy of his wing-mates; hates any kind of bakchodi that goes around in this world of foolish mortals; doesn’t give a shit to looking for kangaroos even when somehow lands up in Australia; is the only person jiska ek personal tempo-shout hai (cha—chaaA.. cha—chaaA!). But banda stud bhi hai bhai.. stud in acads (mining ki aan, baan, shaan), huha percussionist, groups captain; patel hall mein bachpan mein pole-vault bhi kiya tha launde ne! So basically sab milke bolo.. hamaare pyaare chachaa ki.. YO!

(by me)

 

C-203

Debdutta Bhattacharya

alle le le.. cutie cutie!! He’s our honey bunch, sugar plum, pumpie umpy umpkin.. he’s our sweetie pie. He’s our cuppy cake, gum drop, snookum snookums.. he’s the apple of our eye (but ki fark painda hai, ab to iski gf hai!). The no of hair on his head follows the equation n=N*exp(-35t).. (but ki fark painda hai, ab to iski gf hai!). Poora Patel ispe fight maarta hai (but ki fark painda hai, ab to iski gf hai!). But banda stud bhi hai bhai.. AIR 49 (koi mazaak hai kya); profs ka eye-candy (aakhir profs bhi bande hain!); ex-G-sec Tech of Patel hall; drams bhi karta hai (don’t ask ki drams mein kya roles karta hai!). Nonetheless, an exceptionally sweet-looking (and sweet-smelling too!) person whom you can talk with anytime, laugh with anytime (and sleep with anytime!) but ki fark painda hai, ab to iski gf hai! :D

(by me)

 

C-204

Sudhir Kumar

Dubbed, and ever since known as Sujju, after his much appreciated performance onstage, this guy is as simple as you can get them. Sujju to chali gayi, par Sujju rah gaya! ETMS ki shaan hai, iski awaaz me Soniyo ya Badan pe Sitaare sunke jhoomna nishchit hai. Rafi ka bahut bara fan hai, and he is sure to sway you off your feet with his voice. Wing ka rate-determining step hai, but still ultimate store house of energy, dekhke lagta hai Tempo da ke room se abhi GluconD peeke aaya hain- stage pe, room pe, wing mein kabhi haath ya pair ya sar bina hilaye rahta nahi hai. Taali bajane ka bhi bahut saukin hai, waise abhi humare saath hai, to log galti se paise nahi dete hain. Chahe jitni koshish kar lo, you can never LOSE argument with him, kyunki tum to hamesha sahi hoge. Bahut hi achha banda hai: Sincere, dedicated, lovable, friendly. Hamesha muskurata hai – kabhi dukhi dekha nahi hai, aur koi dekhna bhi nahi chahega. Hum sabki dua hai, Sujju ki zindagi uske haseen geeton ki tarah hi ho. Waise Sujju ke life ka motto hai: Simple living, high thinking and no spending!

(by Debu, add-ons by me)

 

C-205

 Tejasvi Singh Kushwah

Janaab Teju ke naam se jane jaate hain. Waise to Gymkhana GSec the, par Kgp se zyada ghar me hi paye jaate hain. Kabhi kabhi chhutti mile to Kgp aa jaate hain. Haan, jab yahan rahte hain, to kamre ka darwaza hamesha band hi paya jata hai, par phone aur gtalk pe bandiyon ke liye hamesha samay rahta hai. Apne phone ke alawa inhe gym se bahut pyaar hai. Sharir-charcha khub karte hain, gym ja jake manspeshiyan fula baithe hain jinka sablog bahut anand uthate hain. Are haan, camera ke saamne rahne ke bahut saukin hain. Shayad inhe kisi mohtarma ne kaha hai ki janaab bahut ‘photogenic’ hain, jahan camera dikha, orkut ke photo ke liye daude chale aate hain. Khub ruchi le leke kangaal mazak, arthaat, PJ maarke khud hi hanste rehte hain. PJ (P+iJ) ke shehenshah bhi maane jate hain. Haan, basky khelne me God hain, aur practice session jaane ki to zaroorat hi nahi padhti inhe.. seeeedhe muqabale me pahunch jaate hain. Bhavuk hain, achchhe vaktaa hain, gaate bhi hain aur chitrapat pe kalakari bhi karte hain. Aur kya muskan hai!! Dekhne wale dil haare bina rah hi nahi pate, ab mohtaram ki kya galti hai..J

(by Debu)

 

C-206

Vinay Gautam

Dooor kahiin se aawaaz aayi ‘Maa Ke Maa Ke’,

‘Aa rahe hain wo’, kahaa hawaa ne fusfusaake,

Aaye wo ek haath mein Airtel aur doosre kaan pe Reliance ka phone lagaake,

Vinny, Bade Saahab, Lavy, inke har naam ki jaya-jayakaar ki devtaaon ne individually aake!

IIT Kharagpur ki 60 saal ki history mein isse badaa peace-maaru paida nahi hua! He knows it so very well how to pass a course with the least possible effort. Spends one-third time on the comp, same amount on sleeping and an equal amount on the phone. But banda stud bhi hai bhai..God poet.. an absolute God.. 2 secs ke andar 200 lines ki poem likh dega; IIT was not the right place for him (except that he met us!), should have been at the International School of Arts! Aur doley-sholey wala bhi hai.. hot commodity for girls! Possesses great spontaneity and sense of humour; sociable from the very core. Launda ek din laal batti ki gaadi mein ghoomega aur uss din yeh upar waali poem sach ho jaayegi.. amen!

(by me)

 

C-207

Ankik Dhar

Tempo.. naam to suna hoga! 21 years ago, when a space ship came to earth after a long journey in search of food, they forgot to take back one child with them. That child still wanders in CFE Patel and kills every night for chicken. It walks faster than any of its earthling-counterparts; makes voices at decibel levels thrice the normal human levels and holds special affinity for the male half of the human population. But banda stud bhi hai bhai.. he’s an absolute energy house (practices footer during the day (inter-iit hai bhai) and drams during the night), huha cg (jisme se aadhi however cheating karke aayi hai), stud physique (a hot commodity for girls whom he very comfortably bhagaaoes gaali deke). But whatever be the case, we love him, and why not; every child is special! Eeshh.. sento deshchi!!

(by me)

 

CFE Patel 2009 II

C-208

Apurva Gupta, nah.. Chintoo (or Chin2 as he prefers to call himself)

The most common visitor to all his neighbours rooms, this really caring and feel-at-home guy can feel at home in anyone’s room and treat their possesions as his own (read Jhaapna). Bahut badaa jhaapu. Germany se Rajaai jhaapke bhi pakdaa nahi gaya. Waise kabhi kuch bura nahi karta. Haan lekin ek baar daaru andar gayi to fir humein hi pata hai kya hota hai. Doesn’t drink much but jab bhi log use gaane nahi dete, matlab chillane nahi dete, tab pata nahi kya ho jata hai. Peeta hi chala jata hai, aur fir gaa gaa ke badla leta hai. Gaane record karke jabardasti sabko sunata bhi hai. Majority of his RAM is occupied by the innumerable chats with the opposite sex on gtalk. Vaise to mast synth bajata hai, baatein karta hai, sabko hasata hai. Pichhle teen saalo me hi itna kuch kiya hai ki likhte likhte jagah ki kami par jaegi, GSec ka kaam, illu karwana, robotix, saath hi itne pratiyogitaon me bhaag lena. Humare insti se pehli baar parliamentary debate me bhaag liya hai. Main to kehta hoon, ladka hira hai hira.. bas thodi opacity jyada hai!

(by Debu)


C-209

Siddarth Ajith

Did someone say magnifier? You get it; take away Sid! You ask him how many vowels are there and he’ll tell you fifteen and he’ll bloody say that so damn convincingly that you’ll have to go and check your grammar book. Gulps down 10 bottles of cold-drinks a day; watches bollywood songs seven hours a day, just missed getting a bravery award for climbing the “patel ka l***” in drunk condition. But banda stud bhi hai bhaai.. huha manager (TTG ki naiyya ka rudder); huha orator; huha movie database (ask him who is the father of the guy who wrote dialogues in some 1963 movie ‘Paap ka Ghadaa’ and he’ll tell you); comedy bhi theek-thaak kar leta hai (bas aajkal thoda rust ho gaya hai!); captain waptain (agar future mein kabhi Patel tech-hall kehlaya to Sid ko The Grand Old Man ka title milega). But whatever be the case, the question remains: uummm… tuuuuuu ek Sid kyun hai?!

(by me)


C-210

Soumya Ranjan Nanda

The fluctuations in Nanda’s mood are directly proportional to the fluctuations in the share market; and not just the Indian or the US share market, but agar Honolulu ke shares bhi down honge to isse load ho jaaayega! And hence finally, the unit ‘Nanda’ has been accepted internationally by ANSI as the unit of load (jab Lehman ka band bajaa to Lehman brothers ko 0.3 Nanda load hua and isko 1.3 Nanda load ho gaya!). But nonetheless, banda stud bhi hai bhai.. lately he’s come out of his ‘loaded’ image and spits on anyone’s face who calls him that, with the dialogue, “*** ke ****, dekh mujhe load ho gaya!”. God in finance funda and acads, DR 1 (however indu waise to deptt hone ke laayak hi nahi hai but isme iski kya galti). Hockey goalie (iska size dekhke doosri team waale iske paas bhi nahi fatakte). Overall an ever-smiling, social, (bulky,) stud, jiska BarCap ne kaat diya (muhaha!).. but ek din yeh NandaCap banaayega aur CFE ka naam roshan karega!

(by me)


C-211

Prasoon Agarwal

CFE ka sabse vyast insaan. Ye teen char jagah hi paya jata hai – Compu ke saamne, wing me phone liye ghoomte hue ya Bhasky me. Chai party ka ek mukhya neta. Phone pe ghanto kitne kathin muddo pe soch vichar aur vaad vivad karte hue paya jata hai. Aisa lagta hai jaise saari duniya ka bhaar iske maasum (aur kam height waale) kandho pe aa gaya ho! Humein poora bharosa hai, ek din duniya ke sabhi samsyaon ka hal zaroor nikal lega. Serious sa dikhne wala yeh praani jab hansta hai to itni zor se hansta hai.. ki bas bahut zor se hansta hai. Euro-trip maar ke aaya hai lekin kismat itni kharaab ki jis univ mein gaya wahaan uss samay kgp se bhi kam bandiyaan thi. Lekin ki gall hai.. banda hamesha khush rehta hai (instru jaise farzi deptt mein hoke bhi!) aur hum chahte hain ki yeh jabalpuria aise hi apni battisi iss jahaan ko dikhake psyche karte rahe! 

(by Debu and me)


C-212

Pappu Kumar Bharti (Director, Vidyadrishti.com)

Itni kam umra me hi Director ka khitab pane wale ye hai humare wing ke Pappu Kumar Bharti ya PKBharti. Apni website ke liye kya dedication hai! Rarely aise log dikhte hain jo din raat kisi cheez pe kaam karte rahte hain. Haan, sutro se pata chala hai ki iske peeche kaaran hai – ‘Pappu enjoys the fringe benefits of socializing through his venture.’ Hum sabko aasha hai ki wo isme zaroor safal ho. Haan, inhe ekvachan se allergy hai, hamesha bahuvachan me hi baat karte hain, chahe saamne banda ek hi kyun na baitha ho. Acads mein God (peace maarne mein). Inke shrimukh se sadaa prem-bhare shabdo (!@#$%^&*) ki barsaat hoti rehti hai (aajkal short-forms mein bhi barsaat karte hain). Waise, Vidyadrishti desh ke kone kone tak fail jae, Pappu kisi din bara aadmi ban jae, Rolex ki ghari haatho me, gaari Mercedes wala… but.. Pappu can't dance shaala.. ‘Ooyee Shaalee ghu** du***!!!’

(by Debu, add-ons by me)


Chai-party

CFE ki story Chachaa ki Chai Party ke bina adhuri hai.

Party Symbol: Chai ka kullhad.

Adhyakshya – Chachaa (obviously!)

Varisth neta – Teju, Prasoon.

Sadasya – Sujju, Pappu, Nanda (part-time)

Yeh part din mein chaar baar Bhasky mein paayi jaati hai. Bahut dedicated hain iske kaaryakartaa – Dhoop, barish, thand, kisi cheez ki parwah nahi karte. Hum sabko ye afsos hai.. Inke jane ke baad bechaare Bhasky ka kya hoga.

(by Debu, add-ons by me)